Tuesday, July 28, 2009

Eik Meethi Thandhi Chaon Hai Maan

Jis Main Simtay Saara Jahan
Chota Sa Woh Eik Lafz Hai Maan
Is Rishtay Say Sab Hain Waqif
Per Koi Na Samjhay Kia Hai Maan
Jis Nay Tum Ko Janam Dia
Us Hasti Ka Naam Hai Maan
Seenay Say Laga K Paala Kisnay
is Nay Paala Woh Hai Maan
Pyaar-O-Mohabbat Karay Har Dam
Chahat Ka Eik Khazana Hai Maan
Jaan Bhi Nichawar Karday Jo
Qurbaniyon Ka Woh Samandar Hai Maan
Qadmon Talay Hai Jannat Us K
Itni Azeem Hoti Hai Maan
Us Ki Azmat Un Say Poocho
Jin K Paas Nahin Hai Maan
Aaj Tum Jo Kuch Bhi Ho
Hai Us K Peechay Tumhari Maan
Badal Nahin Us Ka Duniya Bhar Main
Eik Aisa Lazawaal Rishta Hai Maan
Sada Rahay Salaamat Saya Us Ka
Eik Meethi Thandhi Chaon Hai Maan

No comments:

Post a Comment