Saturday, August 8, 2009

MAA- POEM

Thursday, August 6, 2009

My Father, My Guiding Light

My Father, My Guiding Light
Dad, you’re like the sun to me,

a sure thing, always there,
beaming light and warmth on my life.
Whatever is good in me today,
I owe to your wisdom, your patience,
your strength, your love.

You taught me by example,
as a role model,how to be my own person,
how to believe in myself,
instructing me without controlling me.

Even when we disagreed,
you held us together,
so our bond was never broken.
I understand what you did for me,
and I am so grateful that
I have youas my solid foundation,
my rock.I respect you, I admire you,
I love you,my guiding light, my father.


By Joanna Fuchs

The Perfect Father


The Perfect Father
I love you because you're my father,

But you're really so much more;
You're a guide and a companion;
You and I have great rapport.

You pay attention to me;
You listen to what I say.
You pass on words of wisdom,

Helping me along the way.
Whenever I'm in trouble,

You always have a plan.
You are the perfect father,
And I'm your biggest fan!


By Karl and Joanna Fuchs

Tuesday, July 28, 2009

Quotes about MAAN





MAA BAAP K SAATH HUSAN-E-SALOOK


JAB DHARTI MAA NAY YAAD KIYA


Umer Bhar Seene Se Laga Kar Pala Hai Maa Ne

Umer Bhar Seene Se Laga Kar Pala Hai Maa Ne
Ghalat Batoon Pe Thora Thora Mara Hai Maa Ne
Abhi Tak Wo Bachpane Ki Yadein Hain Baqi
Aur Wo Bachpane Ki Batein Hain Baqi
Ke Jab Mein Ne Bola Tha Maa Pehli Baar
Maa Ki Aankhon Mein Bhara Tha Kitna Pyar
Paida Huwa Tha To Kuch Nahi Tha Mein
Maa Ki Wajha Se Aaj Hoon Kya Kya Mein
Lalach To Kuch Nahi Meri Maa Ko Magar
Acha Ho Jo Dedoon Dil Tohfay Mein Agar
Maa Ko Choorte Hain Aise Kuch Log Hotay Hain
Phir Auroon Ke Liyay Wo Hamesha Soog Hotay Hain
Kuch Logoon Ke Liye Maa Ko Choorte Nahi
Chahay Kuch Ho Jaye Moo Moortey Nahi
Maa Se Hamesha Hamein Sukh Milte Hain
Phir Bhi Us Ko Hamse Dukh Milte Hain
Kash Qurbaan Karoon Mein Sab Us Ki Sada Pe
Aur Wo Mujhe Pyar Karey Meri Issi Ada Pe
Maa Se Mujhe Meri Koi Juda Na Karey

MAAN KI DUA


MAA


Eik Meethi Thandhi Chaon Hai Maan

Jis Main Simtay Saara Jahan
Chota Sa Woh Eik Lafz Hai Maan
Is Rishtay Say Sab Hain Waqif
Per Koi Na Samjhay Kia Hai Maan
Jis Nay Tum Ko Janam Dia
Us Hasti Ka Naam Hai Maan
Seenay Say Laga K Paala Kisnay
is Nay Paala Woh Hai Maan
Pyaar-O-Mohabbat Karay Har Dam
Chahat Ka Eik Khazana Hai Maan
Jaan Bhi Nichawar Karday Jo
Qurbaniyon Ka Woh Samandar Hai Maan
Qadmon Talay Hai Jannat Us K
Itni Azeem Hoti Hai Maan
Us Ki Azmat Un Say Poocho
Jin K Paas Nahin Hai Maan
Aaj Tum Jo Kuch Bhi Ho
Hai Us K Peechay Tumhari Maan
Badal Nahin Us Ka Duniya Bhar Main
Eik Aisa Lazawaal Rishta Hai Maan
Sada Rahay Salaamat Saya Us Ka
Eik Meethi Thandhi Chaon Hai Maan

MAAN


MAA K NAAM


Sunday, July 12, 2009

Mujhe Neend Nahi Aati Hai

Maan,
Mujhe Neend Nahi Aati Hai
Aik Mudat Se Mujhe Neend Nahi Aati Hai
Maan, Mujhe Lo-ry Sunao Na
Sula Dona Mujhe
Maan, Mujhe Neend Nahi Aati Hai
Rat-Jagey Ab Tu Muqadar Hain Meri Pulkon Ka
Neend Aye Tu Liye Aati Hai Bagdad Ki Yaad
Ankh Lagte He Koi Bewa Utha Dete Hai
Pait Kitna He Bharon Bhook Nahi Mit-ti Hai
Jaltay Basra Ki Mujhe Piyass Jaga Dete Hai
Koi Qandhar Ki Waadi Se Bulata Hai Mujhe
Zikr Qandoz Ka Aye Tu Mujhe Lagta Hai
Kaat Ker Sar Koi Hansta Hai,
Jalata Hai MujheBomb Ki Awazain Mujhe
Kuch Nahi Kehti Hain Magar
Zakham In Bacho Ke Sone Nahi Dete Hain Mujhe
Maan Meri Ankhain Tu Pather Ki Hui Jati Hain
Nojawaan Lashey Yeh Ronay Nahi Dete Hain Mujhe
Mere Seene Per Rakho HathRula Dona Mujhe..Maan,
Mujhe Lo-ry Sunao NaSula Dona MujheMaan,
Mujhe Neend Nahi Aati Hai
Aik Mudat Se Mujhe Neend Nahi Aati Hai..
(Syed Wasi Shah)

Wednesday, July 8, 2009


NAZM MAA K LIYE


MAA KA PYAR



Maa hai WO


~~MAA~~

~~MAA~~
*~*~*MAA jaisi hastee dunya mai hay hi kahan*~*~*
*~*~*nahee milai ga badal chahay dhond lai sara jahan*~*~*
*~*~*shafqat bhara taira chehra*~*~*
*~*~*sabki mohabbat ka jazba*~*~*
*~*~*qaim rahay saya taira*~*~*
*~*~*qadmo mai hay jannat ka nisha*~*~*
*~*~*har dukh ko tou nai saha*~*~*
*~*~*mairai lye tou naiiiiiiii*~*~*
*~*~*maa jaisi hasti dunya mai hay hi kahan*~*~*
*~*~*nahee milaiga badal chahay dhond lai sara jahan*~*~*
*~*~*jab bhi wo din yaad atay hayn*~*~*
*~*~*ankhai mairi bhar jatee hayn*~*~*
*~*~*maire dukh ki khatir tunay*~*~*
*~*~*kitni raatain jagee hayn*~*~*
*~*~*har dukh ko tunay saha*~*~*
*~*~*maire lye tou nai*~*~*
*~*~*maa jaisi hasti dunya mai hai hi kaha*~*~*
*~*~*nahee milaiga badal chahay dhoond lai sara jahan*~*~*

MAAN TUJHE SALAAM




***MAA TUJHE SALAAM***

Mout ke aagosh mein jb tak so jati hy MAA,

tu kahin ja k thora sa sakun pati hy MAA,

Rooh k rishton ki ye gehrayn tu dekhye,

chot lagti hai hume or chilati hy MAA,

Mangti hy kuch nahe apny liye Allah sy,

Apnay bacho k liye daman ko phelati hai MAA,

Pyar kehtay hen kise or Mamta kya cheez hai,

koi un bachon se puche jin ke guzar jati hai MAA,

Chahe hm khushion me MAA ko bhul jaen dosto,

Jb musibat sr pe aati hai tu yaad aati hai MAA.

*MAA TUJHE SALAAM*